Saturday, 24 December 2016

Bina Internet Ke Paytm Se Payment Kaise Kare

Paytm waise to apke liye useful hai hi. par ye ja aur bhi ban jata hai. jab aap bina internet ke paytm se paise transfer kar sakte hain.
  • Jo mobile number aapne paytm par registered kiya hai. us number se Paytm ka toll free number service 1800 1800 1234 dial kare.
  • Toll free number dial karne ke baad aapse kaha jayega ki aapne apna Paytm Pin set nahi kiya hai. pin set karne ke liye jald hi apko call kiya jayega.
  • Turant apke pass Paytm ki taraf se call ayega. jis ko recieved karke unki batayi hui process ko follow karke apna 4 digit ka Pin set karna hai.
  • Ye first time process hai next time se apko pin set karne ki zarurat nahi hai.
  • Pin set hone ke baad jise payment karna hai uska mobile number enter karne ko kaha jayega.
  • Kitna payment karna chahte hain woh amount enter kare.
  • Apna Pin enter kare.
  • Ab aapke Paytm se amount transfer ho jayega.
Ye process follow karke aap bina internet ke Paytm se payment kar sakte hain. iske liye smart phone ki jarurat hoti hai. Aap apni sim kisi bhi mobile me lagakar bina internet ke Paytm se payment kar sakte hain.

No comments:

Post a Comment